Adhuri Baaton Ka Bojh" Faiza
Kabhi kabhi zindagi yun khamosh ho jaati hai jaise kisi ne uska saara shor cheen liya ho. Aas paas sab kuch waisa hi hota hai — log, raste, mausam... lekin andar ek ajeeb si chuppi chha jaati hai.
Kehne ko bahut kuch hota hai, par keh nahi paate. Har baat gale mein atak ke reh jaati hai. Na woh aansu ban ke nikalti hai, na lafz ban ke. Bas dil ke kisi kone mein baith jaati hai — ek bojh ki tarah.
Yeh bojh woh hota hai jo kisi aur ko dikhta nahi, par har roz mehsoos hota hai. Jab koi paas hoke bhi humein pehchaan nahi paata, jab hum bhi khud ko aaine mein dekh ke anjaan lagte hain.
Khamosh Zindagi Ka Safar, aasaan nahi hota. Yeh woh raasta hai jahan na koi humsafar hota hai, na koi manzil. Bas khud se ek lambe safar par nikal jaate hain.
Lekin shayad, isi khamoshi mein kahi apna sach chhupa hota hai… woh sach jo hum duniya se nahi, sirf khud se kehna chahte hain.
---
Shukriya is khamoshi bhare safar mein mera saath dene ke liye.
Phir milenge ek aur jazbaat ke saath...
~ Faiza ❤️
Comments
Post a Comment