"Muskurahat Ke Peeche Chhupi Khamoshi". By Faiza


 Kabhi kabhi hum sab kehte hain — "Main theek hoon", lekin dil andar se chillata hai.

Log hamesha chehra dekh ke faisla kar lete hain — agar muskurate ho, toh sab kuch sahi hai.

Lekin jo muskurahat hoti hai na, wo har baar khushi ka saboot nahi hoti.


Zindagi mein kuch lamhe aise hote hain jo hum kisi se keh nahi paate.

Hum sab kuch normal dikhane ki koshish karte hain, lekin dil mein andhiyaar hota hai.

Kisi ki baat chubh jaati hai, kisi ki khamoshi rula jaati hai.


Khamosh zindagi ka safar ek aisi rahguzar hai, jahan har kadam par ek purana dard yaad aa jaata hai.

Par faida kya hai har waqt rote rehne ka?

Toh hum hasna seekh lete hain…

Khud ke liye nahi, dusron ke liye.



---


💭 Aaj ka sawaal:


Kya aapne kabhi kisi muskurahat ke peeche chhupi udaasi ko mehsoos kiya hai?



---


~ Faiza

Khamosh Zindagi Ka Safar


Comments

Popular posts from this blog

Tanha Khayalon Ki Bheed Mein Jahan har chehra pe muskurahat thi, par mera dil bhara tha... By Faiza

Khamoshi Ka Safar – Ek Andar Ki Awaaz write by Faiza

Adhuri Baaton Ka Bojh" Faiza