Andar Ka Safar" by faiza
Aaj ka din kuch ajeeb tha...
na koi baat ki, na kisi se mila —
sirf andar ka safar chalta raha…
Khud se milne ki koshish ki —
woh main jo logon ke beech hamesha muskurata hai,
aur woh main jo raat ke andheron mein sirf ro leta hai.
Main aksar sochti hoon...
ke log sirf us chehre ko kyun dekhte hain jo unke saamne hota hai?
Woh chehra kyun nahi jo har din toot kar phir se jurtā hai?
Aaj ka yeh vlog kisi shehar, chai, ya doston ke saath nahi tha…
yeh vlog tha mere aur meri khamoshi ke beech ki ek raw mulaqat ka.
Kuch nahi bola…
lekin camera ne sab kuch meh
soos kiya.
---
Comments
Post a Comment