Jab Khamoshi Cheekh Uthi..." By faiza
Kabhi kabhi dil ke andar itna kuch bhar jaata hai ke...
khamoshi bhi cheekh uthi hai.
Lekin afsos... duniya ko sirf awaaz samajh aati hai, jazbaat nahi.
Aaj ek lamha aisa guzra —
na main ro sakti thi, na muskara sakti thi.
Bas dekhti rahi — log jaa rahe the, waqt beet raha tha...
Aur main andar hi andar bikhar rahi thi.
Zindagi ne bahut kuch sikhaya —
lekin sabse pehla sabak yehi tha:
"Har dard ka dikhana zaroori nahi hota."
Kabhi kabhi sirf khamos reh jaane se bhi
duniya aapka sab kuch samajh jaati hai.
Aur jo nahi samajhte — woh waise bhi aapke kabhi nahi hote.
---
💬 Aapka aaj ka sawaal:
Kya aapki khamoshi ne kabhi cheekh maari hai...?
~ Faiza
Khamosh Zindagi Ka Safar
Comments
Post a Comment