Khamoshi Ka Haq" by Faiza
Kabhi kabhi lagta hai ke bolna zaroori nahi hota...
khamos rehna bhi ek jawab hota hai.
Jab duniya sunna nahi chahti,
toh lafzon ka bhi koi matlab nahi rehta.
Main ne seekha hai...
ke har baar rona, har baar kehna, har baar samjhaana –
yeh sab thakaa deta hai.
Aur phir ek din aisa aata hai jab khamoshi se gehra rishta ban jaata hai.
Ab har raat sirf ek soch hoti hai —
"Khamos rehke bhi jeeya jaa sakta hai..."
Aur shayad issi mein sukoon hai.
Khamoshi mera inteqam nahi hai,
yeh mera haq hai — apne dil ko sambhalne ka,
apni rooh ko bachane ka.
---
💬 Aaj ka Sawaal:
Kya aapne kabhi kisi ko jawab dena chhod diya, sirf isliye ke lafzon ka koi asar hi nahi tha?
~ Faiza
Khamoshi Ka Safar
Comments
Post a Comment