🌙 “Unsuni Duaayein”by Faiza

 Kuch baatein hum sirf khuda se kehte hain,

aur kuch baatein sirf khamoshi sunti hai.

Aaj bhi maine ek purani dua dohraayi...

jo kabhi qubool nahi hui.


Zindagi mein sab kuch mil jaata hai,

bas woh log nahi milte

jinke saath hum khud ko poora mehsoos karte hain.


Aaj ki raat phir wahi purani yaadein le aayi...

ek diary, ek purani tasveer,

aur kuch adhoori duaayein —

jo maine kabhi bolkar nahi maangi,

sirf dil se sochi thi.


Khamoshi ke is safar mein

sab kuch suna jaata hai,


bas hum hi nahi.

Comments

Popular posts from this blog

Tanha Khayalon Ki Bheed Mein Jahan har chehra pe muskurahat thi, par mera dil bhara tha... By Faiza

Khamoshi Ka Safar – Ek Andar Ki Awaaz write by Faiza

Adhuri Baaton Ka Bojh" Faiza